yaa raba! muslim ko wo zinda tamannaa de
jo qualb ko garma de jo rooh ko tadpa de
phir waadi faaran ke har zarre ko chamka de
phir shauque tamaasha de phir zauque taquaza de
mahroom tamaasha ko phir deediya beena de
dekha hai jo kuchh mein ne auron ko bhi dikhla de
bhatke hue aahoo ko phir soo haram le chal
us shahar ke khogar ko phir wusaat sahra de
paida weeran mein phir shorish mahshar kar
us mahmil khaali ko phir shaahid laila de
us door ki zulmat mein har qualb pareshan ko
wo daagh mohabbat de jo chaand ko sharma de
rafat mein maquasad ko hamdosh sareea kar
khuddaari saahil de aazaadi dariya de
be los mohabbat ho be baak sadaaqat ho
seenon mein ujaala kar dil soorat meena de
ehsaas inaayat kar aasaar museebat ka
amroz ki shorish mein andeeshah farda de
mein bulbul naalan hoon ik ujde gulistan ka
!taaseer ka saail hoon mahtaaj ko daata de
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga