ik peeshwaaye quaum ne iqubaal se kaha
khulne ko jada mein hai shafaakhaana hijaaz
hota hai teri ka har zarra be quaraar
sunta hai toh kisi se jo afsaana hijaaz
dast junoon ko apne badha jeb ki taraf
mashhoor toh jahan mein hai deewaana hijaaz
daaraalashfa hwaali labatha mein chahiye
nabz mareez panja isa mein chahiye
mein ne kaha ki ke parde mein hai hayaat
posheeda jis tarah ho haqueeqat majaaz mein
talkhaaba ajal mein jo aashique ko mil gaya
paaya na khizr ne mai umr daraaz mein
auron ko din hazora! ye paighaam zindagi
mein maut dhoondata hoon zameen hijaaz mein
aae hain aap le ke shifa ka payaam kya
!rakhte hain ahal dard maseeha se kaam kya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga