chamnastan ke zeeba hoon ki naazeeba
mahroom amal nargis majboor tamaasha hai
raftaar ki lazzat ka ehsaas nahi us ko
hi sanobar ki mahroom tamannaa hai
tasleem ki khogar hai jo cheez hai duniyaa mein
insaan ki har quwwat sargarm taquaza hai
us zarre ko rahti hai wusaat ki hawas har dam
ye zarra nahi shaayad simta hua sahra hai
chaahe toh badal daale heyat chamnastan ki
ye hasti daana hai beena hai twaana hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga