labrez hai sharaab haqueeqat se jaam hind
sab falasfi hain khatah maghrib ke raam hind
ye handeewan ke fikr falak ras ka hai asar
rafat mein aasman se bhi ooncha hai baam hind
us des mein hue hain hazaaron mulk sarshat
mashhoor jin ke dam se hai duniyaa mein naam hind
hai raam ke wajood pe hindostan ko naaz
ahal samajhte hain us ko imaam hind
ejaaz us hadaaeet ka hai yahi
raushan tar az sahar hai zamaane mein shaam hind
talwaar ka dhani tha shajaat mein fard tha
paakeezgi mein josh mohabbat mein fard tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga