us door mein mai aur hai jaam aur hai jam aur
saaqui ne bana ki rawish lutf w sitam aur
muslim ne bhi taameer kya apna haram aur
tahzeeb ke aazar ne tarashwaaye sanam aur
un taaza khudaaon mein bada sab se watan hai
jo pairhan us ka hai wo mazhab ka hai
ye but ki taraasheedah tahzeeb nwi hai
ghaarat gar kaashaanah deen nabwi hai
baazoo tira toheed ki quwwat se qwi hai
islaam tira des hai toh mastafwi hai
nazaara dereena zamaane ko dikha de
!aae mastafwi mein us but ko mila de
ho quaid maquami toh nateeja hai tabaahi
rah bahar mein aazaad watan soorat maahi
hai tark watan sanat mahboob ilaahi
de toh bhi nabot ki sadaaqat pe gawaahi
guftaar siyaasat mein watan aur hi kuchh hai
irshaad nabot mein watan aur hi kuchh hai
aqwaam jahan mein hai raquabat toh asi se
taskheer hai maqsood tajaarat toh asi se
khaali hai sadaaqat se siyaasat toh asi se
kamzor ka ghar hota hai ghaarat toh asi se
aqwaam mein makhloque khuda batti hai us se
quomeet islaam ke jad katti hai us se
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga