wo mast naaz jo gulshan mein ja nikalti hai
kali kali ki zaban se nikalti hai
alhee! phoolon mein wo intikhaab mujh ko kare
kali se rashk aaftaab mujh ko kare
tujhe wo shaakh se todeen! zahe naseeb tire
tadapte rah gae gulzaar mein raqueeb tire
utha ke sadma furqat wisaal tak pahuncha
tiri hayaat ka jauhar kamaal tak pahuncha
mira kanwal ki tasdaque hain jis pe ahal nazar
mire shabaab ke gulshan ko naaz hai jis par
kabhi ye phool ham aaghosh muddaa na hua
kisi ke daaman rangin se aashna na hua
shagufta kar na sake gi kabhi bahaar use
fasurda rakhta hai gulchin ka intizaar use
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga