quamar ka khauf ki hai khatrah tujh ko
maaal ki kya mil gai khabar tujh ko
mata noor ke lut jaane ka hai dar tujh ko
hai kya haraas fanaa soorat sharar tujh ko
zamin se door diya aasman ne ghar tujh ko
misaal maah adhaayi quaba zar tujh ko
!ghazab hai phir tiri nani si jaan darti hai
tamaam raat tiri kaanapte guzarti hai
chamakne waale masaafra! ajab ye basti hai
jo auj ek ka hai doosre ki pasti hai
ajal hai laakhon sitaaron ki ik walaadat mehar
fanaa ki neend mai zindagi ki masti hai
wada ghuncha mein hai raaz aafreenash gul
!dam adam hai ki aaeena daar hasti hai
sakon muhaal hai qudrat ke kaarkhaane mein
sabaat ek tagheer ko hai zamaane mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga