sarazmin dili ki masjod dil deeda hai
zarre zarre mein lahoo aslaaf ka khwaabeeda hai
paak us ujde gulistan ki na ho kyoonkar zamin
khaanquah azmat islaam hai ye sarazmin
sote hain us mein khair alaamam ke taajdaar
nazm aalam ka raha jin ki hukoomat par madaar
dil ko tadpaati hai ab tak garmi mahfil ki yaad
jal chuka haasil magar mahfooz hai haasil ki yaad
hai ziyaarat gaah muslim go jahaan aabaad bhi
us karaamat ka magar haque daar hai baghdaad bhi
ye chaman wo hai ki tha jis ke liye saamaan naaz
laala sahra jise kahte hain tahzeeb hijaaz
khaak us basti ki ho kyoonkar na hamdosh iram
jis ne dekhe jaansheenaan peembar ke quadam
jis ke ghunche the chaman saaman wo gulshan hai yahi
kaapanta tha jin se roma un ka madfan hai yahi
hai zameen quaratba bhi deedah muslim ka noor
zulmat maghrib mein jo raushan thi misl shama taur
bujh ke bazm millat beeza pareshan kar gai
aur diya tahzeeb haazir ka farozan kar gai
quabr us tahzeeb ki ye sar zameen paak hai
jis se taak gulshan yorap ki rag nam naak hai
khata quasatnatneeh yaani queesar ka dayaar
mahdi ummat ki satwat ka nishaan paaydaar
soorat khaak haram ye sar zamin bhi paak hai
aastaan masnad aaraaye shah lolaak hai
nikhat gul ki tarah paakeeza hai us ki hua
turbat aeewab ansaari se aati hai sada
ai masalmaan! millat islaam ka dil hai ye shahar
seenakdon sadiyon ki kisht w khoon ka haasil hai ye shahar
wo zamin hai toh magar ai khawaab gaah masatfi
deed hai kaabe ko teri haj akbar se siwa
khaatim hasti mein toh taaban hai maanind nagin
apni azmat ki walaadat gaah thi teri zamin
tujh mein raahat us shahanshaah mazam ko mili
jis ke daaman mein aman aqwaam aalam ko mili
naam leewa jis ke shaahanshaah aalam ke hue
jaanshin queesar ke waaras masnad jam ke hue
hai agar quomeet islaam paaband maquam
hind hi buniyaad hai us ki na faaras hai na shaam
aah yasarba! des hai muslim ka toh maawa hai toh
naquta jaazab taasar ki shuaaon ka hai toh
jab talak baaqui hai toh duniyaa mein baaqui ham bhi hain
subh hai toh us chaman mein gauhar shabnam bhi hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga