zamaana aaya hai be hijaabi ka aam deedaar yaar ho ga
sukoot tha parda daar jis ka wo raaz ab aashkaar hoga
guzar gaya ab wo door saaqui ki chhup ke peete the peene waale
bane ga saara mai khana har koi baada khwaar ho ga
kabhi jo aawaara junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaarzaar ho ga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar ho ga
nikal ke sahra se jis ne roma ki saltanat ko ulat diya tha
suna hai ye qudsiyon se mein ne wo sher phir hoshiyaar ho ga
kya mira tazkira josaaqui ne baada khwaaron ki anjuman mein
toh peer meekhaana sun ke kahne laga ki munh phat hai khwaar ho ga
dayaar maghrib ke rahne waalo! ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar ho ga
tamaari tahzeeb apne khanjar se aap hi khud kashi kare gi
joshaakh naazuk pe aashiyana bane ga naapaaydaar ho ga
safeena barg gul bana le ga quafila mor naatwan ka
hazaar maujon ki ho kashaakash magar ye dariya se paar ho ga
chaman mein laala dikhaata phirta hai daagh apna kali kali ko
ye jaanta hai ki us dikhaawe se dil jalon mein shumaar ho ga
jo ek tha ai nigaah toh ne hazaar kar ke hamein dikhaaya
yahi agar kaifiyat hai teri toh phir kise etibaar ho ga
kaha joqamri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toghanche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar ho ga
khuda ke aashique toh hain hazaaron banon mein phirte hain maare maare
mein us ka bandaa banon ga jis ko khuda ke bandon se pyar ho ga
ye rasm bazm fanaa hai ai dala! gunaah hai jumbish nazar bhi
rahe gi kya aabroo hamaari jo toh yahan be quaraar ho ga
mein zulmat shab mein le ke naklon ga apne darmaanda kaarwan ko
sharrafshan hogi aah meri nafas mira shola baar ho ga
nahi hai ghair az numood kuchh bhi jo muddaa teri zindagi ka
toh ik nafas mein jahan se mitna tujhe misaal sharaar ho ga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar ho ga
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga