yoon toh ai bazm jahaan! dalkash the hangaame tire
ik zara afsurdagi tere tamaashaayon mein thi
pa gai aasodgi koo mohabbat mein wo
muddaton aawaara jo hikmat ke sahraayon mein thi
kis quadar ai me! tujhe rasm hijaab aai pasand
parda angoor se nikli toh meenaayon mein thi
ki taaseer par ghaalib na aa sakta tha ilm
itni naadaani jahan ke saare daanaayon mein thi
mein ne ai iqubaal yorap mein use dhoonda abas
baat jo hindostan ke maah seemaayon mein thi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga