chamak teri ayan bijli mein aatish mein sharaare mein
jhalak teri hweeda mein sooraj mein taare mein
bulandi aasmaanon mein zameenon mein tiri pasti
rawaani bahar mein uftaadgi teri kinaare mein
shareet kyoon gareban geer ho zauque takallum ki
chhupa jaata hoon apne ka matlab istiaare mein
jo hai bedaar insan mein wo gahri neend sota hai
shajar mein phool mein haiwan mein patthar mein sitaare mein
mujhe phoonka hai soz quatrah ashk mohabbat ne
ghazab ki aag thi paani ke chhote se sharaare mein
nahi jins sawaab aakhrat ki aarzoo mujh ko
wo sodaagar hoon mein ne nafa dekha hai khasaare mein
sakon naa aashna rahna use saamaan hasti hai
tadap kis dil ki yaa rab chhup ke aa baithi hai paare mein
sada lan taraani sun ke ai iqubaal mein chup hoon
taquazon ki kahan taaqat hai mujh furqat ke maare mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga