khaamosh hai chaandani quamar ki
shaakhein hain khamosh har shajar ki
waadi ke nawa farosh khaamosh
kohsaar ke sabz posh khaamosh
fitrat be hosh ho gai hai
aaghosh mein ke so gai hai
kuchh aisa sukoot ka fusoon hai
neekar ka khiraam bhi sakon hai
taaron ka khamosh kaarwan hai
ye quafila be dara rawan hai
khaamosh hain koh w dasht w dariya
qudrat hai maraaqube mein goya
ai dala! toh bhi khamosh ho ja
aaghosh mein ko le ke so ja
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga