na mujh se kah ki ajal hai payaam aish w suroor
na kheench naqsha kaifiyat sharaab tahor
firaaque hoor mein ho se hamaknaar na toh
pari ko sheesha alfaaz mein utaar na toh
mujhe fareefta saaqui jameel na kar
bayaan hoor na kar zikr salasbeel na kar
maquam amn hai jannat mujhe kalaam nahi
shabaab ke liye mauzoon tira payaam nahi
shabaab aaha! kahan tak ameedwaar rahe
wo aish aish nahi jis ka intizaar rahe
wo kya jo mahtaaj chashm beena ho
numood ke liye minnat pazeer farda ho
ajeeb cheez hai ehsaas zindagaani ka
aqueeda ishrat amroz hai jawaani ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga