furqat aaftaab mein khaati hai pech w taab subh
chashm shafaque hai khoon fishan akhtar shaam ke liye
rahti hai quais roz ko laila shaam ki hawas
akhtar subh muztarib taab dawaam ke liye
kahta tha quatab aasman quafila nujoom se
hamarho mein taras gaya lutf khiraam ke liye
soton ko nadeewan ka shauque bahar ka nadeewan ko
mojah bahar ko tapish maah tamaam ke liye
azal ki pardah laala w gul mein hai nihan
kahte hain be quaraar hai jaloh aam ke liye
raaz hayaat po chh le khizr khajasta gaam se
zinda har ek cheez hai koshish naatmaam se
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga