hai ajab majmoh azdaad ai iqubaal toh
raunaque hangaamah mahfil bhi hai tanha bhi hai
!teere hangaamon se ai deewaana rangin nawa
zeenat gulshan bhi hai aaraaish sahra bhi hai
ham nashin taaron ka hai toh rafat parwaaz se
ai zamin farsa quadam tera falak paima bhi hai
ain shaghl mein peshaani hai teri sajda rez
kuchh tire maslak mein rang mashrab meena bhi hai
misl boo libaas rang se uryan hai toh
hai toh hikmat aafrin lekin tujhe sauda bhi hai
jaanib rawan be naqsh pa maanind mauj
aur phir uftaada misl saahil dariya bhi hai
husn naswaani hai bijli teri fitrat ke liye
phir ajab ye hai ki tera ishq be parwa bhi hai
teri hasti ka hai aaeen tafnan par madaar
toh kabhi ek aastaane par jabin farsa bhi hai
hai haseenon mein wafa naa aashna tera khitaab
ai talon keesha! toh mashhoor bhi ruswa bhi hai
le ke aaya hai jahan mein aadat seemaab toh
teri be taabi ke sadque hai ajab be taab toh
ishq ki aashuftagi ne kar diya sahra jise
musht khaak aisi nihan zer quaba rakhta hoon mein
hain hazaaron us ke pahloo rang har pahloo ka aur
seene mein heera koi tarsha hua rakhta hoon mein
dil nahi shaair ka hai keefeeton ki rustakhez
kya khabar tujh ko daron seena kya rakhta hoon mein
aarzoo har kaifiyat mein ik nae jalwe ki hai
muztarib hoon dil sakon naa aashna rakhta hoon mein
go haseen taaza hai har lahza maqsood nazar
husn se mazbot paimaan wafa rakhta hoon mein
be niyaazi se hai paida meri fitrat ka niyaaz
soz w saaz justujoo misl saba rakhta hoon mein
mojab taskin tamaasha sharaar jasta ai
ho nahi sakta ki dil barque aashna rakhta hoon mein
har taquaza ishq ki fitrat ka ho jis se khamosh
aaha! wo kaamil tajalli muddaa rakhta hoon mein
justujoo kal ki liye phirti hai ajza mein mujhe
husn be paaeean hai dard laadwa rakhta hoon mein
zindagi ulfat ki dard anjaameewan se hai miri
ishq ko aazaad dastoor wafa rakhta hoon mein
sach agar poochhe toh aflaas takheel hai wafa
dil mein har dam ik naya mahshar bapa rakhta hoon mein
faiz saaqui shabnam aasa zarf dil dariya talab
tashnah daaim hoon aatish zer pa rakhta hoon mein
mujh ko paida kar ke apna nukta chin paida kya
naqsh hoon apne musawwir se gala rakhta hoon mein
mahfil hasti mein jab aisa tunuk jalwa tha husn
phir takheel kis liye la intiha rakhta hoon mein
dar bayaabaan talab peewasta mi kosheem ma
mauj bahreem w shikast khweesh bar dosheem ma
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga