jis ki numood dekhi chashm sitaara bin ne
khursheed mein quamar mein taaron ki anjuman mein
soofi ne jis ko ke zulmat kade mein paaya
shaair ne jis ko dekha qudrat ke baanakpan mein
jis ki chamak hai paida jis ki mahak hweeda
shabnam ke moteewan mein phoolon ke pairhan mein
sahra ko hai basaaya jis ne sukoot ban kar
hangaama jis ke dam se kaashaana mein
har shay mein hai numaayan yoon toh jamaal us ka
aankhon mein hai saleemi teri kamaal us ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga