justujoo jis ki tadpaati thi ai bulbul mujhe
khoobi quismat se aakhir mil gaya wo mujhe
khud tadapta tha chaman waalon ko tadpaata tha mein
tujh ko jab rangin nawa paata tha sharmaata tha mein
mere pahloo mein dil muztar na tha seemaab tha
aratkaab jurm ulfat ke liye be taab tha
naamraadi mahfil gul mein miri mashhoor thi
subh meri aaina daar shab deejor thi
az nafas dar seenah khoon gashta nashtar daashtam
zer khaamoshi nihan ghoghaaye mahshar daashtam
ab taasar ke jahan mein wo pareshaani nahi
ahal gulshan par giran meri ghazal khwaani nahi
ishq ki garmi se shole ban gae chhaale mire
khaleete hain bajleewan ke saath ab naale mire
ghaaziya ulfat se ye khaak siyah aaeena hai
aur aaeene mein aks hamdam dereena hai
quaid mein aaya toh haasil mujh ko aazaadi hui
dil ke lut jaane se mere ghar ki aabaadi hui
zo se us khursheed ki akhtar mira taabanda hai
chaandani jis ke ghubaar raah se sharminda hai
yak nazar kar di w aadaab fanaa aamokhti
ai khanak roze ki khaashaak mira waasokhti
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga