darte darte dam se
taare kahne lage quamar se
nazaare rahe wahi falak par
ham thak bhi gae chamak chamak kar
kaam apna hai subh w shaam chalna
chalna chalna mudaam chalna
be taab hai us jahan ki har shay
kahte hain jise sakon nahi hai
rahte hain sitam kash sab
taare insan shajar hajar sab
hoga kabhi khatm ye safar kya
manzil kabhi aae gi nazar kya
kahne laga chaand ham nasheeno
!aae mazar shab ke khosha cheeno
jumbish se hai zindagi jahan ki
ye rasm quadeem hai yahan ki
hai dodta ashhab zamaana
kha kha ke talab ka taaziyaana
us rah mein maquam be mahal hai
posheeda quaraar mein ajal hai
chalne waale nikal gae hain
jo thahre zara kachal gae hain
anjaam hai us khiraam ka husn
aaghaaz hai ishq intiha husn
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga