tujh ko dazdeeda nigaahi ye sikha di kis ne
ramz aaghaaz mohabbat ki bata di kis ne
har ada se teri paida hai mohabbat kaisi
neeli aankhon se tapakti hai zakaawat kaisi
dekhti hai kabhi un ko kabhi sharmaati hai
kabhi uthti hai kabhi leet ke so jaati hai
aankh teri sifat aaina hairaan hai kya
aagaahi se raushan tiri pahchaan hai kya
maarti hai anin ponahchon se ajab naaz hai ye
chhed hai ghussa hai yaa pyar ka andaaz hai ye
shokh toh hogi toh godi se ataarin ge tujhe
gar gaya jo seene ka toh maarein ge tujhe
kya tajsas hai tujhe kis ki tamnaayi hai
aaha! kya toh bhi asi cheez ki saudaai hai
khaas insaan se kuchh husn ka ehsaas nahi
soorat dil hai ye har cheez ke baatin mein makin
sheesha dahar mein maanind mai naab hai ishq
rooh khursheed hai khoon rag mahtaab hai ishq
dil har zarra mein posheeda kasak hai us ki
noor ye wo hai ki har shay mein jhalak hai us ki
kahin saamaan masarrat kahin saaz gham hai
kahin gauhar hai kahin ashk kahin shabnam hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga