jis tarah dobti hai kashti seemeen quamar
noor khursheed ke toofaan mein hangaam
jise ho jaata hai gum ka le kar aanchal
chaandani raat mein mahtaab ka ham rang kanwal
jalwa taur mein jaise yad beezaaye kaleem
moja nikhat gulzaar mein ghunche ki shameem
hai tire sail mohabbat mein yoonhi dil mera
toh jo mahfil hai toh hangaamah mahfil hoon mein
husn ki barque hai toh ishq ka haasil hoon mein
toh sahar hai toh mire ashk hain shabnam teri
shaam ghurbat hoon agar mein toh shafaque toh meri
mire dil mein tiri zulfon ki pareshaani hai
tiri tasweer se paida miri hairaani hai
husn kaamil hai tira ishq hai kaamil mera
hai mire baagh sukhan ke liye toh baad bahaar
mere be taab takheel ko diya toh ne quaraar
jab se aabaad tira ishq hua seene mein
nae jauhar hue paida mire aaeene mein
husn se ishq ki fitrat ko hai tahreek kamaal
tujh se sar sabz hue meri ameedon ke nihaal
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga