auron ka hai payaam aur mera payaam aur hai
ishq ke mand ka tarz kalaam aur hai
taair zer daam ke naale toh sun chuke ho tum
ye bhi suno ki naalah taair baam aur hai
aati thi koh se sada raaz hayaat hai sakon
kahta tha mor naatwan lutf khiraam aur hai
jazb haram se hai farogh anjuman hijaaz ka
us ka maquam aur hai us ka nizaam aur hai
hai aish jaawdan zauque talab agar na ho
gardish aadmi hai aur gardish jaam aur hai
shama sahar ye kah gai soz hai zindagi ka saaz
gham kadah numood mein shart dawaam aur hai
baada hai neem ras abhi shauque hai naarsa abhi
rahne do kham ke sar pe tum khisht kaleeseea abhi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga