ham baghal dariya se hai ai quatra be taab toh
pahle gauhar tha bana ab gauhar naayaab toh
aah khola kis ada se toh ne raaz rang w boo
mein abhi tak hoon aseer imtiyaaz rang w boo
mit ke ghogha zindagi ka shorish mahshar bana
ye sharaara bujh ke aatish khana aazar bana
nafi hasti ik karishma hai aagaah ka
la ke dariya mein nihan moti hai alaaaalla ka
chashm naabeena se makhfi mani anjaam hai
tham gai jis dam tadap seemaab seem khaam hai
tod deta hai but hasti ko abraaheem
hosh ka daaro hai goya masti tasneem ishq
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga