khuda se ne ik roz ye sawaal kya
jahan mein kyoon na mujhe toh ne laazwaal kya
mila jawaab ki tasweer khana hai duniyaa
daraaz adam ka fasaana hai duniyaa
hui hai rang tagheer se jab numood us ki
wahi hasin hai haqueeqat zawaal hai jis ki
kahin quareeb tha ye guftugoo quamar ne suni
falak pe aam hui akhtar sahar ne suni
sahar ne taare se sun kar sunaai shabnam ko
falak ki baat bata di zamin ke mahram ko
bhar aae phool ke aansoo payaam shabnam se
kali ka nana sa dil khoon ho gaya gham se
chaman se rota hua mausam bahaar gaya
shabaab sair ko aaya tha sogwaar gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga