kahoon kya aarzoo be dili mujh ko kahan tak hai
mire bazaar ki raunaque hi sauda ziyan tak hai
wo mai kash hoon farogh mai se khud gulzaar ban jaayon
hawa firaaque saaqui naamharban tak hai
afroz hai sayyaad meri khoshanwaayi tak
rahi bijli ki be taabi so mere aashiyan tak hai
wo musht khaak hoon faiz pareshaani se sahra hoon
na poochho meri wusaat ki zamin se aa saman tak hai
jaras hoon naala khwaabeeda hai mere har rag w pay mein
ye khaamoshi miri waqt raheel kaarwan tak hai
sukoon dil se saamaan kashod kaar paida kar
ki uqda khaatir girdaab ka aab rawan tak hai
!chaman zaar mohabbat mein khamoshi maut hai bulbul
yahan ki zindagi paabandi rasm fughan tak hai
jawaani hai toh zauque deed bhi lutf tamannaa bhi
hamare ghar ki aabaadi quayaam mehman tak hai
!zamaane bhar mein ruswa hoon magar ai waae naadaani
samajhta hoon ki mera ishq mere raazdan tak hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga