zaahir ki aankh se na tamaasha kare koi
ho dekhna toh deedah wa kare koi
mansoor ko hua lab goya payaam
ab kya kisi ke ishq ka daawa kare koi
ho deed ka jo shauque toh aankhon ko band kar
hai dekhna yahi ki na dekha kare koi
mein anathaaye ishq hoon toh anathaaye husn
dekhe mujhe ki tujh ko tamaasha kare koi
uzr aafreen jurm mohabbat hai husn dost
mahshar mein uzr taaza na paida kare koi
!chhapti nahi hai ye nigah shauque ham nashin
phir aur kis tarah anin dekha kar e koi
ud baithe kya samajh ke bhala taur par kaleem
taaqat ho deed ki toh taquaza kare koi
nazaare ko ye jumbish mizgan bhi baar hai
nargis ki aankh se tujhe dekha kare koi
khul jaaein kya maze hain tamannaa shauque mein
do chaar din jo meri tamannaa kare koi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga