sukoot shaam mein mahaw sarod hai raawi
na poochh mujh se jo hai kaifiyat mire ki
payaam sajde ka ye zer w bam hua mujh ko
jahan tamaam sawaad haram hua mujh ko
sar kinaara aab rawan khada hoon mein
khabar nahi mujhe lekin kahan khada hoon mein
sharaab surkh se rangin hua hai daaman shaam
liye hai peer falak dast raasha daar mein jaam
adam ko quafila roz tez gaam chala
shafaque nahi hai ye sooraj ke hain goya
khade hain door wo azmat fazaaye tanhaai
manaar khawaab gah shahaswaar chaghtaayi
fasaanah sitam inqalaab hai ye mahal
koi zamaan salaf ki kitaab hai ye mahal
maquam kya hai sarod khamosh hai goya
shajar ye anjuman be kharosh hai goya
rawan hai seenah dariya pe ik safeena tez
hua hai mauj se malaah jis ka garm sateez
subuk rawi mein hai misl nigaah ye kashti
nikal ke halqua had nazar se door gai
jahaaz zindagi aadmi rawan hai yoonhi
abad ke bahar mein paida yoonhi nihan hai yoonhi
shikast se ye kabhi aashna nahi hota
nazar se chhupta hai lekin fanaa nahi hota
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga