!keesi hairaani hai ye ai taflak khoo
shama ke sholon ko ghadeewan dekhta rahta hai toh
ye miri aaghosh mein baithe hue jumbish hai kya
raushani se kya baghal geeri hai tera muddaa
us nazaare se tira nana sa hairaan hai
ye kisi dekhi hui shay ki magar pahchaan hai
shama ik shola hai lekin toh saraapa noor hai
aaha! us mahfil mein ye uryan hai toh mastor hai
!dasat qudrat ne use kya jaane kyoon uryan kya
tujh ko khaak teera ke faanoos mein pinhan kya
noor tera chhup gaya zer naquab aaghi
hai ghubaar deedah beena hijaab aaghi
zindagaani jis ko kahte hain faraamoshi hai ye
khawaab hai ghaflat hai sarmasti hai be hoshi hai ye
mahfil qudrat hai ik dariya be paaeeaan husn
aankh agar dekhe toh har quatre mein hai toofaan husn
husn kohastan ki heebat naak khaamoshi mein hai
mehar ki zogsatri shab ki siyah poshi mein hai
aasmaan subh ki aaeena poshi mein hai ye
shaam ki zulmat shafaque ki gul faro shi mein hai ye
azmat dereena ke matte hue aasaar mein
taflak naaaashna ki koshish guftaar mein
saaknaan sehan gulshan ki ham aawaazi mein hai
nane nane taayron ki aashiyan saazi mein hai
chashma kohsaar mein dariya ki aazaadi mein husn
shahar mein sahra mein weeraane mein aabaadi mein husn
rooh ko lekin kisi gum gashta shay ki hai hawas
!warna us sahra mein kyoon naalan hai ye misl jaras
husn ke us aam jalwe mein bhi ye be taab hai
zindagi us ki misaal maahi be aab hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga