thi phir aaj wo porab se kaali kaali ghata
siyaah posh hua phir pahaad sarban ka
nihan hua jo rukh mehar zer daaman abr
hawa sard bhi aai sawaar tausan abr
garaj ka shor nahi hai khamosh hai ye ghata
ajeeb mai kadiya be kharosh hai ye ghata
mein hukm nashaat mudaam laai hai
quaba mein guhar taanakne ko aai hai
jo phool mehar ki garmi se so chale the athe
zamin ki god mein jo pad ke so rahe the athe
hua ke zor se abhra badha uda baadal
athi wo aur ghata lo! baras pada baadal
ajeeb kheema hai kohsaar ke nahaalon ka
yahin quayaam ho waadi mein phirne waalon ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga