jugnoo ki raushani hai kaashaanah mein
yaa shama jal rahi hai phoolon ki anjuman mein
aaya hai aasman se ud kar koi sitaara
yaa jaan pad gai hai mahtaab ki kiran mein
yaa ki saltanat mein din ka safeer aaya
ghurbat mein aa ke chamka gumnaam tha watan mein
takma koi gira hai mahtaab ki quaba ka
zarra hai yaa numaayan sooraj ke pairhan mein
husn quadeem ki ye posheeda ik jhalak thi
le aai jis ko qudrat khalwat se anjuman mein
chhote se chaand mein hai zulmat bhi raushani bhi
nikla kabhi gahan se aaya kabhi gahan mein
parwaana ik patanga jugnoo bhi ik patanga
wo raushani ka taalib ye raushani saraapa
har cheez ko jahan mein qudrat ne dilabri di
parwaane ko tapish di jugnoo ko raushani di
rangin nawa banaaya murghaan be zaban ko
gul ko zabaan de kar taaleem khaamushi di
nazaariya shafaque ki khoobi zawaal mein thi
chamka ke us pari ko thodi si zindagi di
rangin kya sahar ko baanki dalan ki soorat
pahna ke laal joda shabnam ki aarsi di
saaya diya shajar ko parwaaz di hua ko
paani ko di rawaani maujon ko be kali di
ye imtiyaaz lekin ik baat hai hamaari
jugnoo ka din wahi hai jo raat hai hamaari
husn azal ki paida har cheez mein jhalak hai
insan mein wo sukhan hai ghunche mein wo chatak hai
ye chaand aasman ka shaair ka dil hai goya
wan chaandani hai jo kuchh yan dard ki kasak hai
andaaz guftugoo ne dhoke diye hain warna
naghma hai boo bulbul boo phool ki chahak hai
kasrat mein ho gaya hai wahdat ka raaz makhfi
jugnoo mein jo chamak hai wo phool mein mahak hai
ye ikhtilaaf phir kyoon hangaamon ka mahal ho
har shay mein jabka pinhan khaamoshi azal ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga