chamak utha jo sitaara tire muqaddar ka
habash se tujh ko utha kar hijaaz mein laaya
hui asi se tire kade ki aabaadi
tiri ghulaami ke sadque hazaar aazaadi
wo aastan na chhuta tujh se ek dam ke liye
kisi ke shauque mein toh ne maze sitam ke liye
jafa jo mein hoti hai wo jafa hi nahi
sitam na ho toh mohabbat mein kuchh mazaa hi nahi
nazar thi soorat salman ada shanaas tiri
sharaab deed se badhti thi aur pyaas tiri
tujhe nazaare ka misl kaleem sauda tha
awees taaqat deedaar ko tarasta tha
madeena teri nigaahon ka noor tha goya
tire liye toh ye sahra hi taur tha goya
tiri nazar ko rahi deed mein bhi hasrat deed
khanak dale ki tapeed w dame naya saayeed
gari wo barque tiri jaan naashkeeba par
ki khanda zan tiri zulmat thi dast moosa par
tapish z shola gar fatnad w bar dil toh zadnad
cha barque jalwa bakhaashaak haasil toh zadnad
ada deed saraapa niyaaz thi teri
kisi ko dekhte rahna namaaz thi teri
azan azal se tire ishq ka taraana bani
namaaz us ke nazaare ka ik bahaana bani
khusha wo waqt ki yasrab maquam tha us ka
khusha wo door ki deedaar aam tha us ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga