mein ne chaaquo tujh se chheena hai toh chalaata hai toh
meharban hoon mein mujhe naa meharban samjha hai toh
phir pada roo ga ai nowaarad aquleem
chubh na jaae deekhnaa! baareek hai nok qualam
aaha! kyoon dukh dene waali shay se tujh ko pyar hai
khel us kaaghaz ke tukde se ye be aazaar hai
geenad hai teri kahan cheeni ki bali hai kad r
wo zara sa jaanor toota hua hai jis ka sar
tera aaeena tha aazaad aarzoo
aankh khalte hi chamak utha sharaar aarzoo
haath ki jumbish mein tarz deed mein posheeda hai
teri soorat aarzoo bhi teri nozaayeeda hai
zindagaani hai tiri aazaad quaid imtiyaaz
teri aankhon par hweeda hai magar qudrat ka raaz
jab kisi shay par bigad kar mujh se chalaata hai toh
kya tamaasha hai radi kaaghaz se man jaata hai toh
aaha! us aadat mein ham aahang hoon mein bhi tira
toh talon aashna mein bhi talon aashna
aaarzi lazzat ka shaidaai hoon chalaata hoon mein
jald aa jaata hai ghussa jald man jaata hoon mein
meri aankhon ko labha leta hai husn zaahri
kam nahi kuchh teri naadaani se naadaani miri
teri soorat gaah giryan gaah khandan mein bhi hoon
dekhne ko naujwan hoon tifl naadan mein bhi hoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga