muztarib rakhta hai mera be taab mujhe
ain hasti hai tadap soorat seemaab mujhe
mauj hai naam mira bahar hai paaeeaab mujhe
ho na zanjeer kabhi halqah girdaab mujhe
aab mein misl hua jaata hai tausan mera
khaar maahi se na atka kabhi daaman mera
mein achhalti hoon kabhi jazb mah kaamil se
josh mein sar ko patakti hoon kabhi saahil se
hoon wo rahro ki mohabbat hai mujhe se
kyoon tadapti hoon ye poochhe koi mere dil se
zahmat tangi dariya se gurezan hoon mein
wusaat bahar ki furqat mein pareshan hoon mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga