toot kar khursheed ki kashti hui gharquab neel
ek tukda teerta phirta hai roo aab neel
tasht gardoon mein tapakta hai shafaque ka khoon naab
nashtar qudrat ne kya kholi hai fasad aaftaab
charkh ne baali chura li hai uroos shaam ki
neel ke paani mein yaa machhli hai seem khaam ki
quafila tera rawan be minnat baanag dara
gosh insan sun nahi sakta tiri aawaaz pa
ghatne badhne ka saman aankhon ko dakhlaata hai toh
hai watan tera kis des ko jaata hai toh
saath ai seeaarah saabit numa le chal mujhe
khaar hasrat ki khalish rakhti hai ab be kal mujhe
ka taalib hoon ghabraata hoon us basti mein mein
taflak seemaab pa hoon maktab hasti mein mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga