kis zaban se ai pazmarda tujh ko gul kahoon
kis tarah tujh ko tamannaa bulbul kahoon
thi kabhi mauj saba gahwaarah janban tira
naam tha sehan gulistan mein gul khandan tira
tere ehsan ka naseem subh ko iquraar tha
baagh tere dam se goya tablah ataar tha
tujh pe barsaata hai shabnam deedah giryan mira
hai nihan teri udaasi mein dil weeran mira
meri barbaadi ki hai chhoti si ik tasweer toh
khwa b meri zindagi thi jis ki hai taabeer toh
hamcho ne az neestaan khud hikaayat mi kanam
bashno ai gala! az judaai ha shikaayat mi kanam
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga