aql ne ek din ye se kaha
bhoole bhatke ki rahnuma hoon mein
hoon zamin par guzar falak pe mira
dekh toh kis quadar rasa hoon mein
kaam duniyaa mein rahabri hai mira
misl khizr khajasta pa hoon mein
hoon mafsar kitaab hasti ki
mazhar shaan kabreea hoon mein
boond ik khoon ki hai toh lekin
ghairat laal be baha hoon mein
ne sun kar kaha ye sab sach hai
par mujhe bhi toh dekh kya hoon mein
raaz hasti ko toh samajhti hai
aur aankhon se dekhta hoon mein
hai tujhe waasta mazaahar se
aur baatin se aashna hoon mein
ilm tujh se toh marfat mujh se
toh khuda jo khuda numa hoon mein
ilm ki intiha hai be taabi
us maraz ki magar dawa hoon mein
shama toh mahfil sadaaqat ki
husn ki bazm ka diya hoon mein
toh zamaan w makan se rishta bapa
taair sadra aashna hoon mein
kis bulandi pe hai maquam mira
!rash rab jaleel ka hoon mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga