tujh se karta hai ai shama pyar kyoon
ye jaan be quaraar hai tujh par nisaar kyoon
seemaab waar rakhti hai teri ada use
aadaab toh ne sakhaaye hain kya use
karta hai ye tawaaf tiri jalwa gaah ka
phoonka hua hai kya tiri barque nigaah ka
aazaar maut mein use aaraam jan hai kya
shole mein tere zindagi jaawdan hai kya
gham khana jahan mein jo teri ziya na ho
us tafta dil ka nakhl tamannaa hara na ho
garna tire huzoor mein us ki namaaz hai
nane se dil mein lazzat soz w gudaaz hai
kuchh us mein josh aashique husn quadeem hai
chhoota sa taur toh ye zara sa kaleem hai
parwaana aur zauque tamaasha raushani
!keeda zara sa aur tamannaa raushani
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga