koi pahaad ye kahta tha ik galahri se
tujhe ho sharm toh paani mein ja ke doob mire
zara si cheez hai us par ghuroor kya kahna
!eeh aql aur ye samajh ye shuoor kya kahna
ki shaan hai naacheez cheez ban baithein
jo be shuoor hoon yoon baatmeez ban baithein
tiri bisaat hai kya meri shaan ke aage
zamin hai past miri aan baan ke aage
jo baat mujh mein hai tujh ko wo hai naseeb kahan
!bhala pahaad kahan jaanor ghareeb kahan
kaha ye sun ke galahri ne munh sambhaal zara
ye kachchi baatein hain se anin nikaal zara
jo mein badi nahi teri tarah toh kya parwa
nahi hai toh bhi toh aakhir miri tarah chhoota
har ek cheez se paida khuda ki qudrat hai
koi bada koi chhoota ye us ki hikmat hai
bada jahaan mein tujh ko bana diya us ne
mujhe darakht pe chadhna sikha diya us ne
quadam uthaane ki taaqat nahi zara tujh mein
nari badaayi hai khoobi hai aur kya tujh mein
jo toh bada hai toh mujh sa hunar dikha mujh ko
ye chhaaleea hi zara tod kar dikha mujh ko
nahi hai cheez nakmi koi zamaane mein
koi bura nahi qudrat ke kaarkhaane mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga