hai bulandi se falak bos nasheman mera
abr kohsaar hoon paash hai daaman mera
kabhi sahra kabhi gulzaar hai maskan mera
shahar w weeraana mira bahar mira ban mera
kisi waadi mein jo manzoor ho soona mujh ko
sabza koh hai makhmal ka bichhauna mujh ko
mujh ko qudrat ne sikhaaya hai daraafshan hona
naaqua shaahid rahmat ka hudi khwan hona
zadaaye dil afsurda dahquan hona
raunaque bazm jwaanaan gulistan hona
ban ke gesoo rukh hasti pe bikhar jaata hoon
shaana moja sarsar se sanwar jaata hoon
door se deeda ameed ko tarsaata hoon
kisi basti se jo khaamosh guzar jaata hoon
sair karta hua jis dam lab jo aata hoon
baaleean nahar ko girdaab ki pahnaata hoon
sabza mazar nokheez ki ameed hoon mein
zaada bahar hoon parorda khursheed hoon mein
chashma koh ko di shorish qulzum mein ne
aur parandon ko kya mahaw tarnam mein ne
sar pe sabze ke khade ho ke kaha quam mein ne
ghuncha gul ko diya zauque tabassum mein ne
faiz se mere namone hain shabastaanon ke
jhonapde daaman kohsaar mein dahquanon ke
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga