Salma teri mein aaj phir aansu bahaaye hain
ki chaandni mein teri tasveer banaai hai
har phool mein dekhi hai maine teri muskuraahaT
har raat sitaaron mein teri aankhein paayi hain
tu door sahi par tu mere dil ke qareeb hai
teri yaad ka diya har shab maine jalaaya hai
ai meri mohabbat ki devi ai meri Salma
tujh bin ye jahaan maine adhoora hi paaya hai
ai ishq hamein barbaad na kar barbaad na kar
ik dil hai hamaare paas magar naashaad na kar
vo aaye to har raat sitaaron mein dhal jaaye
vo bhool bhi jaaye to magar yaad na jaaye
mohabbat ke afsaane likhe hain meri jawaani ne
har ek lafz mein chhupi ek aansoo ki kahaani hai
vo chaand si soorat meri raaton mein utar aaye
main neend se jaag uThoon to bas uska khayaal aaye
gul ki tarah khilta hai tera naam mere lab par
aur baagh-e-tasavvur mein bahaar aane lagti hai
judaai ki shaamein kaTen to kaise kaTen
tere bagair to din bhi andheri raat lage