lab pe aati hai ban ke tamanna meri
shama ki surat ho khudaaya meri
duur dunya ka mere dam se andhera ho jaaye
har jagah mere chamakne se ujaala ho jaaye
ho mere dam se yoon hi mere watan ki zeenat
jis tarah phool se hoti hai chaman ki zeenat
zindagi ho meri parwaane ki surat ya rab
ilm ki shama se ho mujh ko mohabbat ya rab
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga