aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak
daam-e-har-mauj mein hai halqa-e-sad-kaam-e-nahang
dekhen kya guzre hai qatre pe guhar hone tak
aashiqi -talab aur tamanna betaab
ka kya rang karoon khoon-e-jigar hone tak
ham ne maana ki taghaaful na karoge lekin
khaak ho jaayenge ham tum ko khabar hone tak
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai