gar na andoh furqat bayan ho jaae ga
be takalluf daagh mah mehar dahan ho jaae ga
zohra gar aisa hi shaam mein hota hai aab
partaw mahtaab sail khaanuman ho jaae ga
le toh loon sote mein us ke paanw ka bosa magar
aisi baaton se wo kaafir bad guman ho jaae ga
dil ko ham sirf wafa samjhe the kya maaloom tha
yaani ye pahle hi nazr imtihan ho jaae ga
sab ke dil mein hai jagah teri jo toh raazi hua
mujh pe goya ik zamaana meharban ho jaae ga
gar nigaah garm farmaati rahi taaleem zabt
shola khas mein jaise khoon rag mein nihan ho jaae ga
baagh mein mujh ko na le ja warna mere haal par
har gul tar ek chashm khoon fishan ho jaae ga
waae gar mera tira insaaf mahshar mein na ho
ab talak toh ye tawaqquo hai ki wan ho jaae ga
faaeda kya soch aakhir toh bhi daana hai asdaؔ
dosti naadan ki hai ji ka ziyan ho jaae ga
gar wo mast naaz deewe ga salaaye arz haal
khaar gul bahar dahaan gul zaban hojaaye ga
gar shahaadat aarzoo hai nashe mein gustaakh ho
baal sheeshe ka rag sang fasan hojaaye ga
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai