jis zakhm ki ho sakti ho tadbeer rafoo ki
likh deejeew yaa rab use quismat mein adoo ki
achchha hai sar angusht hinaai ka tasawwur
mein nazar aati toh hai ik boond lahoo ki
kyoon darte ho ushshaaque ki be hosalgi se
yan toh koi sunta nahi fariyaad kisoo ki
dashne ne kabhi munh na lagaaya ho jigar ko
khanjar ne kabhi baat na pochhi ho guloo ki
sad haif wo naakaam ki ik umr se ghaalib
hasrat mein rahe ek but arabda jo ki
go zaahid be chaara abas hai
itna hai ki rahti toh hai tadbeer wazoo ki
ab be khabran mere lab zakhm jigar par
bakhiya jise kahte ho shikaayat hai rafoo ki
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai