meri nawa shauque se shor hareem zaat mein
ghalaghla haaye alaaman but kada-e sifaat mein
hoor w farishta hain aseer mere takheelaat mein
meri se khalal teri tajleeaat mein
garche hai meri justujoo der w haram ki naqsha band
meri fughan se rustakhez kaaba w somnaat mein
gaah miri nigaah tez cheer gai wajood
gaah ulajh ke rah gai mere tohmaat mein
toh ne ye kya ghazab kya mujh ko bhi faash kar diya
mein hi toh ek raaz tha seena-e kaaenaat mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
jo mein sar b sajda hua kabhi toh zamin se aane lagi sada
tira dil toh hai sanam aashna tujhe kya mile ga namaaz mein
kabhi jo aawaara-e junoon the wo bastiyon mein phir aa basin ge
barahna paai wahi rahe gi magar naya khaar zaar hoga
suna diya gosh muntazir ko hijaaz ki khaamushi ne aakhir
jo ahad sahraayeewan se baandha gaya tha phir ustuwaar hoga
dayaar maghrib ke rahne waalo khuda ki basti dukan nahi hai
khara jise tum samajh rahe ho wo ab zar kam ayyaar hoga
kaha jo qumri se mein ne ik din yahan ke aazaad pa b gul hain
toh ghunche kahne lage hamare chaman ka ye raazdaar hoga
na poochh iqubaal ka thikaana abhi wahi kaifiyat hai us ki
kahin sar rah guzaar baitha sitam kash intizaar hoga