zara sa kahin aaj agar ubharta hai
samundaron hi ke lahje mein baat karta hai
khuli chhaton ke diye kab ke bujh gae hote
koi toh hai jo hawaaon ke par katarta hai
sharaafton ki yahan koi ahmiyat hi nahi
kisi ka kuchh na bigaado toh kaun darta hai
ye dekhna hai ki sahra bhi hai samundar bhi
wo meri tishna-labi kis ke naam karta hai
tum aa gae ho toh kuchh chaandani si baatein hon
zamin pe kahan roz roz utarta hai
zamin ki kaisi wakaalat ho phir nahi chalti
jab aasman se koi faisla utarta hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.