wo mujh ko kya bataana chaahta hai
jo duniyaa se chhupaana chaahta hai
mujhe dekho ki main us ko hi chaahoon
jise saara zamaana chaahta hai
qualam karna kahan hai us ka mansha
wo mera sar jhukaana chaahta hai
shikaayat ka dhuan aankhon se tak
taalluque toot jaana chaahta hai
taquaza waqt ka kuchh bhi ho ye
wahi quissa puraana chaahta hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.