sirf tera naam le kar rah gaya
aaj bahut kuchh kah gaya
kya miri taqudeer mein nahi
faasla kyoon muskura kar rah gaya
zindagi duniyaa mein aisa ashk thi
jo zara palkon pe thahra bah gaya
aur kya tha us ki pursish ka jawaab
apne hi aansoo chhupa kar rah gaya
us se poochh ai kaamyaab-e-zindagi
jis ka afsaana adhoora rah gaya
haae kya deewaangi thi ai waseem
jo na kahna chahiye tha kah gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.