nahi ki apna zamaana bhi toh nahi aaya
hamein kisi se nibhaanaa bhi toh nahi aaya
jala ke rakh liya haathon ke saath daaman tak
tumhein bujhaana bhi toh nahi aaya
nae makaan banaae toh faaslon ki tarah
hamein ye shahar basaana bhi toh nahi aaya
wo poochhta tha miri aankh bheegne ka
mujhe bahaana banaana bhi toh nahi aaya
waseem dekhna mud mud ke wo usi ki taraf
kisi ko chhod ke jaana bhi toh nahi aaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.