mohabbat naa-samajh hoti hai samjhaana zaroori hai
jo mein hai use aankhon se kahlaana zaroori hai
usoolon par jahan aanch aae takraana zaroori hai
jo zinda ho toh phir zinda aana zaroori hai
nai umron ki khud-mukhtaariyon ko kaun samjhaae
kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaroori hai
thake-haare parinde jab basere ke liye lautein
saleequa-mand shaakhon ka lachak jaana zaroori hai
bahut bebaak aankhon mein taalluque tik nahi paata
mohabbat mein kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai
saleequa hi nahi shaayad use mahsoos karne ka
jo kahta hai khuda hai toh nazar aana zaroori hai
mire honton pe apni pyaas rakh do aur phir socho
ki is ke baad bhi duniyaa mein kuchh paana zaroori hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.