miri wafaaon ka nashsha utaarne waala
kahan gaya mujhe hans hans ke haarne waala
hamaari jaan gai jaae dekhna ye hai
kahin mein na aa jaae maarne waala
bas ek pyar ki baazi hai be- baazi
na koi jeetne waala na koi haarne waala
bhare makan ka bhi apna nasha hai kya jaane
sharaab-khaane mein raatein guzaarne waala
main us ka din bhi zamaane mein baant kar rakh doon
wo meri raaton ko chhup kar guzaarne waala
waseem ham bhi bikharne ka hausla karte
hamein bhi hota jo koi sanwaarne waala
Responses
No comments yet. Be the first to respond.